DHUL HIJJAH KE SHURU KE 10 DINO KI FAZILIYAT ✨
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Koi din ese nahi jin me kiya hua amal Allah ko in dino (me kiye hue amal) se zyada mehboob ho." yaani Dhul Hijjah ke pehle das dino me.
📚: Sunan Ibn Majah 1727 | Sahih
DHUL HIJJAH KE SHURU KE 10 DINO KI FAZILIYAT ✨
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "In dino (dhul hijjah ke shuru ke 10 din) ke amaal se zyada kisi din ke amaal me faziliyat nahi."
Logo ne pucha: "Aur jihaad me bhi nahi?"
Aap (ﷺ) ne farmaya ke: "Haan jihaad me bhi nahi siwaye us shaks ke jo apni jaan wa maal khatre me daal kar nikla aur wapas aaya to saath kuch bhi naa laaya (sab kuch Allah ki raah me qurban kar diya)."
📚: Sahih Bukhari 969
#SunnateRasool
Dhul Hijjah Ke Shuru Ke 10 Mubarak Din ✨
Ibadat Ke Wo Amaal Jin Me Aap Khud Ko Mashghool Rakh Sakte Hain:
1. Dhul Hijjah ke shuru ke 9 dino me roza rakhein (8 din + Arafat ka din) — Ye Sunnat hai.
2. Qur'an ki zyada tilawat karen.
3. Nafil namaz zyada padhen (khas kar tahajjud).
4. Zyada Duaa karen. Khas taur par un waqt jab Allah dua qubool karte hain.
5. Zyada se zyada zikr karen.
6. Rasool Allah (ﷺ) par khoob darood bhejein.
7. Allah se khoob Istighfar aur tawbah karen.
8. Sadqa karen aur dusro ko khana khilayen.
9. Gunaho se bachne ki koshish karen.
10. Ilm hasil karen aur dusro ki madad karen.
drive.google.com/drive/folders/1qb9QpyTzGCU6GBIy4rLA0nqniggTK-Zq
India Me Dhul Hijjah Ka Mahina Shuru Ho Gaya Hai Alhamdulillah 🌙
1st Dhul Hijjah - 19 May, Tuesday
9th Dhul Hijjah (Arafat Ka Din) - 27 May, Wednesday
Eid ul Adha - 28 May, Thursday
In sha Allah 💛
#SunnateRasool
Dhul Hijjah Ke SHURU Ke 9 Din Roza Rakhna SUNNAT Hai ✨
Rasool Allah (ﷺ) ki kisi biwi se riwayat hai, wo kehti hain ke:
"Rasool Allah (ﷺ) Dhul Hijjah ke (pehle) 9 din roza rakha karte the.."
📚: Sunan Abi Dawud 2437 | Sahih
🌷✨
Jum'ah ka Din + Dhul Hijjah ke ba-barkat dino me se ek din = Dugnii Barkat alhamdulillah!
Rasool Allah (ﷺ) ne Jumah ke zikr me ek dafah farmaya ke:
"Us din ek esi ghadi aati hai jis me agar koi musalman banda namaz padh raha ho aur koi cheez Allah Ta’ala se mange to Allah Ta’ala use wo cheez zarur dete hain." Haath ke ishare se Aap (ﷺ) ne batlaya ke wo ghadi bohot thodi si hai.
📚: Sahih Bukhari 935
#Hidayat
ALLAH HAR JAYEZ DUAA QUBOOL FARMATE HAIN (Hamesha Yaqeen Ke Saath Duaa Karen) 🤲🏼
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Zameen par koi bhi musalman esa nahi hai jo gunah aur qata rehmi (rishtedaari todne ya la taluki) ki duaa ko chod kar koi bhi duaa karta ho aur Allah usey wo cheez naa de dete hon, ya us ke badle us ke barabar ki us ki koi buraai (koi musibat) door naa kar dete hon."
Us par ek shaks ne kaha: "Tab to hum khoob (bohot) duaaein manga karenge."
Aap (ﷺ) ne farmaya: "Allah us se bhi zyada dene wale hain."
📚: Jami at-Tirmidhi 3573 | Hasan
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Usey teen me se ek cheez di jaati hai: Ya to us ki duaa ka jawaab jald mil jaata hai, ya ye agli dunya me us ke liye mehfuz kar di jaati hai, ya us ke barabar ki koi buraai us par se tal jaati hai."
📚: Al Adab Al Mufrad 710 | Sahih (Shaykh Albani رحمة الله)
#SunnateRasool
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Jo shaks Allah ki rah me (Un ki khushnoodi aur raza hasil karne ke liye) ek din ka roza rakhega, Allah Ta’ala us ke chehre ko sattar saal ki masafat (fasle) ke barabar jahannum ki aag se door kar denge."
📚: Sahih Bukhari 2840
ARAFAT KA DIN ✨
Umar bin Khattab (رضي الله عنه) se riwayat hai, ek yahoodi ne un se kaha: "Aey Ameer ul Momineen! Aap ki kitaab (Qur'an) me ek ayat esi hai jise aap (musalman) padhte rehte hain, agar wo ayat hum yahoodiyo par nazil hoti to hum us (ke nazawil ke) din ko yaum eid (eid ka din) bana lete."
Umar (رضي الله عنه) ne pucha: "Wo konsi ayat hai?"
Yahoodi bola:
« الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمْ الْإِسْلَامَ دِينًا »
"Aaj Maine tumhare liye tumhara deen kamil kar diya aur tum par Apni nemat puri kar di aur Deen Islam ko tumhare liye pasand kar liya." (5:3)
Umar (رضي الله عنه) ne kaha: "Hum us din aur us muqaam ko jaante hain jis me ye ayat Nabi (ﷺ) par nazil hui. Ye ayat Jumah ke din utri jab Aap (ﷺ) Arafat me khade the (yaani hajj ke din)."
📚: Sahih Bukhari 45
ARAFAT KE DIN KI FAZILIYAT ✨
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Allah Ta'ala Arafat ke din se zyada kisi aur din bando ko Aag (jahannam) se azaad nahi karte.
Allah Ta'ala (bando se) qareeb se qareeb ho jaate hain, aur phir un ki wajah se farishto ke samne izhar e fakhr karte hain, aur kehte hain: 'Ye log kya chahte hain?'"
📚: Sunan Ibn Majah 3014 | Sahih
Arafat ka din sab se ba-barkat aukaat me se ek hai. Ye gunaho ki maafi, Aag se azaadi, aur wahan maujaud logo par fakhr karne ka din hai.
ARAFAT KE DIN ROZA RAKHNE KI FAZILIYAT ✨
Rasool Allah (ﷺ) se Arafat ke din roza rakhne ke bare me pucha gaya, to Aap (ﷺ) ne farmaya:
"Arafat ke din ka roza, mai Allah se umeed rakhta hoon ke pichle saal ke gunaho ka kaffarah ban jayega aur agle saal ke gunaho ka bhi."
📚: Sahih Muslim 1162 (2746)
FASTING REMINDER 🔔
Kal Roza Zaroor Rakhein In Sha Allah.
NOTE: Sirf chote or mamoli gunah maaf kiye jaate hain. Bade gunah tab maaf kiye jaate hain jab ek banda dil se sacchi tauba kare – jese ke Ulema ne bayan kiya hai – to agar aap Allah se sacchi tauba karen, sacche dil se tauba karen to Allah Ta'ala aap ke bade gunaho ko bhi baksh denge jese ke Allah ne wada kiya hai.
Allah Ta'ala Qur'an me farmate hain, ayat (39:53):
"(Aey Paighambar meri taraf se logo ko) kehdo k aey Mere bando jinhone apni jaano par zyaadati ki hai Allah ki rehmat se naa umeed naa hona. Allah to sab gunaho ko baksh dete hain (aur) wo to bakhashne wale meherbaan hain."
Ummat or Mazloom ko apni duaaon me yaad rakhein.
الله أكبر الله أكبر
لا إله إلا الله
الله أكبر الله أكبر
وللهِ الحمد
Allahu Akbar Allahu Akbar, La ilaha illal lah, Allahu Akbar Allahu Akbar, wa lilahil Hamd.
Allah sab se bada hai, Allah sab se bada hai, Allah ki siwa koi ibadat ke layak nahi, Allah sab se bada hai, Allah sab se bada hai, aur sab tareef Allah hi ke liye hain.
• Takbeerat kehte rahein Dhul Hijjah ki 13 tareekh ki asar tak In Sha Allah.
TASHRIQ KE DIN ✨
• Tashriq Ke Din Dhul Hijjah Ki 11, 12 aur 13 Tareekh Hain.
Allah Ta'ala ne Qur'an me farmaya, ayat 2:203: "Aur Allah ka zikr in ginti ke chand dino me karo."
Abdullah bin Umar (رضي الله عنهم) aur baaz ulema ka qawl yahi ke ke is se muraad Tashriq ke din hain.
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Ayam tashriq khane peene aur Allah Ta'ala ke zikr ke din hain."
📚: Sahih Muslim 1141 (2677, 2678)
Rasool Allah (ﷺ) ne ayam tashriq (11, 12 aur 13 Dhul Hijjah) me khutba diya aur (us khutbe ke dauran me) farmaya:
"Jannat me sirf musalman hi dakhil hoga, aur ye (ayam tashriq) khane aur peene ke din hain."
📚: Sunan Ibn Majah 1720 | Sahih
Tashriq Ke Dino Me ROZA RAKHNE KI IJAZAT NAHI 🚫
• Tashriq Ke Din Dhul Hijjah Ki 11, 12 aur 13 Tareekh Hain.
Aisha (رضي الله عنها) aur Ibn Umar (رضي الله عنهم), dono ne bayan kia ke:
"Kisi ko ayam tashriq me roza rakhne ki ijazat nahi sirf us (haaji) ke alawa jis ke liye qurbani karna mumkin nahi."
📚: Sahih Bukhari 1998
Ayam tashriq ke dino me roza rakhna haram hai, chahe wo nafil roza ho ya farz roza, siwaye un hajiyo ke jinhein qurbani ke liye janwar na mile. Ye khane, peene aur Allah ka zikr karne ke din hai.
#Warning
Hudhaifa bin Al-Yaman (رضى الله عنه) se riwayat hai, unhone farmaya:
"Aaj kal ke munafiq Rasool Allah (ﷺ) ke zamane ke munafiqeen se badtar hain. Us waqt me wo apne kaam ko chupa kar amal me laate the aur aaj ke log us ka khullam khulla izhaar kar rahe hain."
📚: Sahih Bukhari 7113
"Munafiqat to Rasool Allah (ﷺ) ke zamane me thi. Aaj to imaan ke baad kufr ikhtiyar karna hai."
📚: Sahih Bukhari 7114
Muharram 1448 ka Mahina shuru hogaya hai Alhamdulillah ✨
Allah Ke Mahine MUHARRAM Me Roza Rakhne Ki Faziliyat 🌱
Rasool Allah (ﷺ) se kisi ne pucha ke: "Farz namaz ke baad kon si namaz afzal hai aur mah e ramzan ke baad kon se rozey afzal hain?"
Aap (ﷺ) ne farmaya: "Farz namaz ke baad sab se afzal namaz adhi raat ki namaz hai (tahajjud), aur ramzan ke mahine ke baad sab se afzal rozey Allah ke mahine Muharram ke rozey hain."
📚: Sahih Muslim 1163 (2756)
#Reminder
Shaykh Ibn Uthaymeen (رحمة الله) ne farmaya:
"Us din (yaani Ashura ke din) par gum ya khushi ka izhaar dono sunnat ke khilaaf hain. Aur us din ke baare me Nabi (ﷺ) se kuch bhi riwayat/sabit nahi siwaye is ke ke us din roza rakha jaaye."
📚: Majmoo’ al-Fataawa (2/297)
Rasool Allah (ﷺ) se Ashura (10 Muharram) ke din roza rakhne ke bare me pucha gaya, to Aap (ﷺ) ne farmaya:
"Ashura ka roza, mai Allah se umeed rakhta hoon ke pichle saal ke gunaho ka kaffarah ban jayega."
📚: Sahih Muslim 1162 (2746)
#SunnatRoza
9th Muharram Ko Roza Rakhna (10th Ke Saath) ✨
Abdullah bin Abbas (رضى الله عنهم) kehte the: Jab Rasool Allah (ﷺ) ne Ashura ke din roza rakha aur huqm kiya us din roza rakhne ka to logo ne arz kiya: "Ya Rasool Allah, ye to esa din hai jis ko yahoodi (jews) aur isaai (christians) bohot ehmiyat dete hain."
To Aap (ﷺ) ne farmaya: "Jab agla saal aayega to In sha Allah Ta'ala hum (muharram ki) nawi tareekh ko roza rakhenge."
Aap (رضى الله عنهم) ne farmaya: "Lekin agle saal Rasool Allah (ﷺ) wafaat paa gaye."
📚: Sahih Muslim 1134 (2666)
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Agar mai agle saal zinda raha to muharram ke nawi tareek ko bhi roza rakhunga."
📚: Sunan Ibn Majah 1736 | Sahih
Ibn Abbas (رضي الله عنهم) ne Ashura ke baare me kaha:
"Yahood se ikhtelaaf karo, 9 aur 10 Muharram ko roza rakho."
📚: ʿAbd al-Razzāq In al-Muṣannaf, (4/287, No. 7839) | Sahih
REMINDER ❗️
Ye Sunnat hai ke 9 Muharram ko roza rakha jaaye 10 Muharram ke saath. Ye Yahoodiyo se mukhalfat (opposition) ke liye hai jo sirf 10 Muharram ko roza rakhte hain.
in sha Allah roza zaroor rakhein. Allah Ta’ala hum sab se qubool farmayen.
Aap kal Ramzan ke chodey hue rozey ki niyat se bhi roza rakh sakte hain. Is se in sha Allah aap ko farz rozey ke saath saath sunnat rozey ka bhi sawaab milega.
#SunnatRoza
Ashura Ke Din (10th Muharram) Ka Roza Rakhna ✨
Ibn Abbas (رضي الله عنهم) se riwayat hai ke: Jab Rasool Allah (ﷺ) madeena tashrif layen to wahan ke logo ko Ashura (10 Muharram) ka roza rakhte hue paya.
Un logo (yahoodiyo) ne bataya ke: "Ye badi azmat wala din hai. Isi din Allah Ta'ala ne Musa (عليه السلام) ko nijaat di thi aur Firawn aur us ke logo ko garak kiya tha. Uske shukr me Musa (عليه السلام) ne is din roza rakha tha."
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Mai Musa (عليه السلام) ke in logo (yahoodiyo) se zyada qareeb hoon." Lihaza Aap (ﷺ) ne khud bhi (us din ka) roza rakha aur dusro ko bhi roza rakhe ka huqm diya.
📚: Sahih Bukhari 3397
#SunnatRoza
Ibn Abbas (رضى الله عنهم) ne bayan kiya ke:
"Mai ne Rasool Allah (ﷺ) ko siwa Ashura ke din ke aur is Ramzan ke mahine ke aur kisi din ko dusre dino se afzal jaan kar khas taur se qasad (niyat/irada) kar ke roza rakhte nahi dekha."
📚: Sahih Bukhari 2006
REMINDER ❗️
Ashura (10 Muharram) ka roza rakhna SUNNAT hai. Roza zaroor rakhein in sha Allah.
Ashura Ke Din Roza Rakhne Ka SAWAAB 🌱
Rasool Allah (ﷺ) se Ashura (10 Muharram) ke din roza rakhne ke bare me pucha gaya, to Aap (ﷺ) ne farmaya:
"Ashura ka roza, mai Allah se umeed rakhta hoon ke pichle saal ke gunaho ka kaffarah ban jayega."
📚: Sahih Muslim 1162 (2746)
#HifazatKiDuaa
SHAITAN SE HIFAZAT ❗️
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jis ne ek din me 100 baar ye kaha:
« لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ »
(La llaha ilallahu, wahdahu la sharika lahu, lahul-mulku wa lahul-hamdu, yuhyi wa yumitu, wa huwa 'ala kulli shai'in qadir — Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi, tanha hain Unka koi shareeq nahi, Un ke liye badshaahi hai aur Unhi ke liye tareefein hain, Wahi zindagi dete hain aur maut dete hain aur Wo har cheez par qudrat rakhne wale hain)
to ye us ke liye 10 gulamo ko azaad karne ke sawaab ke barbar hoga, aur us ke liye 100 nekiyaan likhi jayengi, aur us ki 100 buraiyaan mita di jayengi, aur ye us ke liye us din shaitaan se hifazat ka zariya hoga jab tak wo shaam tak naa pohoch jaaye. Aur qayamat ke din koi is se behtar amal le kar naa aayega siwaye us shaks ke jis ne yahi amal us se zyada kiya ho."
📚: Jami at-Tirmidhi 3468 | Sahih